dil hote hote manzil-e-jaanana ho gaya
dil hote hote manzil-e-jānāna ho gayā
ābād rafta rafta ye vīrāna ho gayā
vo haiñ ki do-jahān ko apnā.e jaate haiñ
maiñ huuñ ki apnī zaat se begāna ho gayā
jalne kā shauq uf tire kushte kī ḳhaak kā
jo zarra uḌ gayā vahī parvāna ho gayā
terī tajalliyoñ ne vo badlī haiñ sūrateñ
merā ḳhayāl ek parī-ḳhāna ho gayā
vo raah rāh-e-ishq hai jis meñ ki rah-navard
dīvāna jo huā vahī farzāna ho gayā
mastī kī laġhzishoñ ko thā ehsās-e-bandagī
girnā hī merā sajda-e-shukrāna ho gayā
saaqī kī aañkh meñ vo balā kī sharāb thī
bad-mast ik nigāh meñ mai-ḳhāna ho gayā
begānagī meñ shaad huuñ maiñ is ḳhayāl se
terā vahī hai sab se jo begāna ho gayā
bazm-e-qadah ko dekh ke ḳhud-ġharziyoñ se paak
'nāmī' sharīk-e-maslak-e-rindāna ho gayā
dil hote hote manzil-e-jaanana ho gaya
aabaad rafta rafta ye virana ho gaya
wo hain ki do-jahan ko apnae jate hain
main hun ki apni zat se begana ho gaya
jalne ka shauq uf tere kushte ki KHak ka
jo zarra uD gaya wahi parwana ho gaya
teri tajalliyon ne wo badli hain suraten
mera KHayal ek pari-KHana ho gaya
wo rah rah-e-ishq hai jis mein ki rah-naward
diwana jo hua wahi farzana ho gaya
masti ki laghzishon ko tha ehsas-e-bandagi
girna hi mera sajda-e-shukrana ho gaya
saqi ki aankh mein wo bala ki sharab thi
bad-mast ek nigah mein mai-KHana ho gaya
beganagi mein shad hun main is KHayal se
tera wahi hai sab se jo begana ho gaya
bazm-e-qadah ko dekh ke KHud-gharziyon se pak
'nami' sharik-e-maslak-e-rindana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.