dil husn ke andaz se mashur bahut hai
dil husn ke andaz se mashur bahut hai
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
dil husn ke andāz se mas.hūr bahut hai
aañkh us but-e-tannāz kī maḳhmūr bahut hai
sunte haiñ ki hai naza.a meñ dīdār kā vā'da
dil maut ke azkār se masrūr bahut hai
jaltī hai zabāñ tazkira-e-sho.ala-ruḳhāñ se
dil sham.a kī sūrat mirā mahrūm bahut hai
duniyā kī nigāhoñ kā bajā ḳhauf hai us ko
iz.hār-e-vafā karne meñ majbūr bahut hai
roke nahīñ ruktī haiñ taḌaptī huī aaheñ
dil hijr meñ us shoḳh ke ranjūr bahut hai
har saañs muzayyan hai mirī yaad se us kī
hai dil se qarīñ nazroñ se jo duur bahut hai
TukḌe dil-e-nāshād ke ab juḌ nahīñ sakte
shīsha asar-e-dard se ye chuur bahut hai
lab par na shikāyat ho na āñkhoñ se gire ashk
dushvār mohabbat kā ye dastūr bahut hai
mil jaatā hai manzil kā pata bhaTke huoñ ko
har naqsh-e-qadam husn kā pur-nūr bahut hai
vo mashq-e-sitam shauq se karte raheñ ham par
mahbūb kī ḳhātir hameñ manzūr bahut hai
mehnat kā sila fāqa-o-iflās hī paayā
tang aaj ke zardār se mazdūr bahut hai
shal aise hue paañv uThā.e nahīñ jaate
go sāmne manzil hai magar duur bahut hai
hai naaz 'fazā' ko bhī bahut ishq pe apne
gar husn-o-nazākat meñ vo mash.hūr bahut hai
dil husn ke andaz se mashur bahut hai
aankh us but-e-tannaz ki maKHmur bahut hai
sunte hain ki hai naza mein didar ka wa'da
dil maut ke azkar se masrur bahut hai
jalti hai zaban tazkira-e-shoala-ruKHan se
dil shama ki surat mera mahrum bahut hai
duniya ki nigahon ka baja KHauf hai us ko
izhaar-e-wafa karne mein majbur bahut hai
roke nahin rukti hain taDapti hui aahen
dil hijr mein us shoKH ke ranjur bahut hai
har sans muzayyan hai meri yaad se us ki
hai dil se qarin nazron se jo dur bahut hai
TukDe dil-e-nashad ke ab juD nahin sakte
shisha asar-e-dard se ye chur bahut hai
lab par na shikayat ho na aankhon se gire ashk
dushwar mohabbat ka ye dastur bahut hai
mil jata hai manzil ka pata bhaTke huon ko
har naqsh-e-qadam husn ka pur-nur bahut hai
wo mashq-e-sitam shauq se karte rahen hum par
mahbub ki KHatir hamein manzur bahut hai
mehnat ka sila faqa-o-iflas hi paya
tang aaj ke zardar se mazdur bahut hai
shal aise hue panw uThae nahin jate
go samne manzil hai magar dur bahut hai
hai naz 'faza' ko bhi bahut ishq pe apne
gar husn-o-nazakat mein wo mashhur bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.