dil ek parinda tha aaKHir qafas mein Dal gaya
dil ik parinda thā āḳhir qafas meñ Daal gayā
junūn-e-shauq use bhī havas meñ Daal gayā
bhigo gayā hai pasīne se sardiyoñ meñ badan
ye kaisā mausam-e-gul thā umas meñ Daal gayā
huā thā ishq laḌakpan meñ jis se vo mujh ko
rah-e-firāq pe solah baras meñ Daal gayā
maiñ māntā huuñ bahut fāsle pe thā lekin
vo shaḳhs ḳhud ko mirī dastaras meñ Daal gayā
baġhal kī seat pe baiThā bhī to nahīñ thā koī
dupaTTa kaun mire muñh pe bus meñ Daal gayā
usī kā vird hai har pal hamārī sāñsoñ meñ
vo apnā naam sadā-e-nafas meñ Daal gayā
vo shaḳhs bazm-e-suḳhan meñ udaas hai 'dilbar'
hamārā sher use pesh-o-pas meñ Daal gayā
dil ek parinda tha aaKHir qafas mein Dal gaya
junun-e-shauq use bhi hawas mein Dal gaya
bhigo gaya hai pasine se sardiyon mein badan
ye kaisa mausam-e-gul tha umas mein Dal gaya
hua tha ishq laDakpan mein jis se wo mujh ko
rah-e-firaq pe solah baras mein Dal gaya
main manta hun bahut fasle pe tha lekin
wo shaKHs KHud ko meri dastaras mein Dal gaya
baghal ki seat pe baiTha bhi to nahin tha koi
dupaTTa kaun mere munh pe bus mein Dal gaya
usi ka wird hai har pal hamari sanson mein
wo apna nam sada-e-nafas mein Dal gaya
wo shaKHs bazm-e-suKHan mein udas hai 'dilbar'
hamara sher use pesh-o-pas mein Dal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.