dil iKHtiyar mein hai na jaan iKHtiyar mein
Interesting Fact
November 1980
dil iḳhtiyār meñ hai na jaañ iḳhtiyār meñ
saaqī ne kyā milā diyā kaif-e-bahār meñ
the chaar din jo zindagī-e-musta.ār meñ
do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ
saaqī kī ik nazar bhī agar ham pe paḌ ga.ī
tauba kā ḳhuun kar ke raheñge bahār meñ
is but se kar ke zikr-e-vafā haa.e kyā kiyā
ik pech Daal dī dil-e-be-e'tibār meñ
thī kis kī yaad aaj jo taḌpā ga.ī hameñ
ik huuk uTh rahī hai dil-e-be-qarār meñ
āġhosh-e-chashm ko sabad-e-gul banā diyā
ġhunche jo khilkhilā.e hujūm-e-bahār meñ
ye bhī adā-e-nāz thī vo bhī adā-e-nāz
machleñ jo shoḳhiyāñ nigah-e-sharm-sār meñ
rote mujhe jo dekhā to kuchh aur khiñch ga.e
ulTā fusūñ thā girya-e-be-iḳhtiyār meñ
hasrat ke āñsuoñ meñ tamannā kā ḳhuun hai
paanī meñ aag hai ki hai shabnam sharār meñ
parvāna said-e-nūr to bulbul asīr-e-rañg
kis kī adā samā ga.ī gul meñ sharār meñ
dil iKHtiyar mein hai na jaan iKHtiyar mein
saqi ne kya mila diya kaif-e-bahaar mein
the chaar din jo zindagi-e-mustaar mein
do aarzu mein kaT gae do intizar mein
saqi ki ek nazar bhi agar hum pe paD gai
tauba ka KHun kar ke rahenge bahaar mein
is but se kar ke zikr-e-wafa hae kya kiya
ek pech Dal di dil-e-be-e'tibar mein
thi kis ki yaad aaj jo taDpa gai hamein
ek huk uTh rahi hai dil-e-be-qarar mein
aaghosh-e-chashm ko sabad-e-gul bana diya
ghunche jo khilkhilae hujum-e-bahaar mein
ye bhi ada-e-naz thi wo bhi ada-e-naz
machlen jo shoKHiyan nigah-e-sharm-sar mein
rote mujhe jo dekha to kuchh aur khinch gae
ulTa fusun tha girya-e-be-iKHtiyar mein
hasrat ke aansuon mein tamanna ka KHun hai
pani mein aag hai ki hai shabnam sharar mein
parwana said-e-nur to bulbul asir-e-rang
kis ki ada sama gai gul mein sharar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.