dil is hujum-e-shahr mein tanha kahen jise
dil is hujūm-e-shahr meñ tanhā kaheñ jise
aisā nahīñ koī ki shanāsā kaheñ jise
āñkhoñ meñ chubh rahī hai koī mauj mauj reg
vahshat badan meñ phailtā sahrā kaheñ jise
bheje haiñ us ne phuul bahut se gulāb ke
tajdīd-e-dostī kā taqāzā kaheñ jise
pheñkā hai us ne ek tabassum ba-tarz-e-gul
saarī sitamgarī kā izāla kaheñ jise
dekhā hai us ne aaj dam-e-vasl aa.ina
āñkhoñ meñ mehr-tāb jhalaktā kaheñ jise
pūchhā hai us ne aaj saf-e-kushtagāñ kā haal
har harf harf-e-zīst kā muzhda kaheñ jise
dil is hujum-e-shahr mein tanha kahen jise
aisa nahin koi ki shanasa kahen jise
aankhon mein chubh rahi hai koi mauj mauj reg
wahshat badan mein phailta sahra kahen jise
bheje hain us ne phul bahut se gulab ke
tajdid-e-dosti ka taqaza kahen jise
phenka hai us ne ek tabassum ba-tarz-e-gul
sari sitamgari ka izala kahen jise
dekha hai us ne aaj dam-e-wasl aaina
aankhon mein mehr-tab jhalakta kahen jise
puchha hai us ne aaj saf-e-kushtagan ka haal
har harf harf-e-zist ka muzhda kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.