dil ishq ka mara tha college ke zamane mein
dil ishq kā maarā thā college ke zamāne meñ
har zaḳhm gavārā thā college ke zamāne meñ
ab sirf andherī shab aur saath hai tanhā.ī
ik chāñd hamārā thā college ke zamāne meñ
hai aaj bhī yādoñ ke gumbad meñ sadā terī
kyoñ tū ne pukārā thā college ke zamāne meñ
ahbāb kī mahfil meñ ham baañT diyā karte
ġham jaise chhuārā thā college ke zamāne meñ
baiThe haiñ jahāñ aañsū is aañkh ke sāhil par
ḳhvāboñ ko utārā thā college ke zamāne meñ
us ke hī to sadqe meñ har jiit milī ham ko
jo ma.arka haarā thā college ke zamāne meñ
bosīda kitābeñ sab us phuul se mahkī haiñ
baḳhshā jo tumhārā thā college ke zamāne meñ
ḳhāmosh jazīra to sadmoñ se banā huuñ maiñ
pur-shor kinārā thā college ke zamāne meñ
likh dete 'nabīl' apne sher us kī kitāboñ par
yuuñ fan ko nikhārā thā college ke zamāne meñ
dil ishq ka mara tha college ke zamane mein
har zaKHm gawara tha college ke zamane mein
ab sirf andheri shab aur sath hai tanhai
ek chand hamara tha college ke zamane mein
hai aaj bhi yaadon ke gumbad mein sada teri
kyon tu ne pukara tha college ke zamane mein
ahbab ki mahfil mein hum banT diya karte
gham jaise chhuara tha college ke zamane mein
baiThe hain jahan aansu is aankh ke sahil par
KHwabon ko utara tha college ke zamane mein
us ke hi to sadqe mein har jit mili hum ko
jo marka haara tha college ke zamane mein
bosida kitaben sab us phul se mahki hain
baKHsha jo tumhaara tha college ke zamane mein
KHamosh jazira to sadmon se bana hun main
pur-shor kinara tha college ke zamane mein
likh dete 'nabil' apne sher us ki kitabon par
yun fan ko nikhaara tha college ke zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.