dil jaanib-e-yazid tera KHam na ho kahin
dil jānib-e-yazīd tirā ḳham na ho kahīñ
mātam barā.e-rasm hī mātam na ho kahīñ
vo hañs rahā hai merī tarah baat baat par
merī tarah use bhī koī ġham na ho kahīñ
barham ki jitnā gesū-e-ḳhamdār-e-yār hai
utnā mizāj-e-yār bhī barham na ho kahīñ
ahl-e-ḳhirad kī niiñd meñ paḌne lagā ḳhalal
ahl-e-junūñ kā raqs-e-damādam na ho kahīñ
aaj aa.e haiñ vo dekhne zaḳhm-e-jigar mirā
Dartā huuñ un ke haath meñ marham na ho kahīñ
itnā ziyāda ḳhush jo nazar aa rahā huuñ maiñ
ye bhī hasīn ḳhvāb kā 'ālam na ho kahīñ
apnoñ ke darmiyān hai ḳhatra banā huā
phūloñ ke darmiyān koī bam na ho kahīñ
duniyā se kyoñ uchāT huā terā dil 'kamāl'
tū bhī na.e zamāne kā gautam na ho kahīñ
dil jaanib-e-yazid tera KHam na ho kahin
matam barae-rasm hi matam na ho kahin
wo hans raha hai meri tarah baat baat par
meri tarah use bhi koi gham na ho kahin
barham ki jitna gesu-e-KHamdar-e-yar hai
utna mizaj-e-yar bhi barham na ho kahin
ahl-e-KHirad ki nind mein paDne laga KHalal
ahl-e-junun ka raqs-e-damadam na ho kahin
aaj aae hain wo dekhne zaKHm-e-jigar mera
Darta hun un ke hath mein marham na ho kahin
itna ziyaada KHush jo nazar aa raha hun main
ye bhi hasin KHwab ka 'alam na ho kahin
apnon ke darmiyan hai KHatra bana hua
phulon ke darmiyan koi bam na ho kahin
duniya se kyon uchaT hua tera dil 'kamal'
tu bhi nae zamane ka gautam na ho kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.