dil jahan se uThae baiThe hain
dil jahāñ se uThā.e baiThe haiñ
sab ko dekhe dikhā.e baiThe haiñ
chāk-e-dāman ye kah rahā hai ki ham
dil ke TukḌe uḌaa.e baiThe haiñ
vo sar-e-bazm haal kyā pūchheñ
mere matlab ko paa.e baiThe haiñ
ab ajal kyuuñ ki aa.egī dekhūñ
vo 'ayādat ko aa.e baiThe haiñ
karte haiñ yuuñ du'ā ki ham goyā
haath asar se uThā.e baiThe haiñ
agar aate haiñ vo to aane do
ham bhī āñkheñ bichhā.e baiThe haiñ
us ke dil meñ asar kar ai girya
ġhair kyā ghar banā.e baiThe haiñ
us ke vā'de ko jānte haiñ ham
shaam se zahr khaa.e baiThe haiñ
dar se vahshat-zadoñ ko ḳhud na uThā
ye koī ek jaa.e baiThe haiñ
ab to lab tak bhī aa na ai naale
ham tujhe āzmā.e baiThe haiñ
tum bhī kar jaao pā.emāl ki ham
naqsh-e-hastī miTā.e baiThe haiñ
kis ko dekhā hai hazrat-e-'sālik'
aaj kuchh muñh banā.e baiThe haiñ
dil jahan se uThae baiThe hain
sab ko dekhe dikhae baiThe hain
chaak-e-daman ye kah raha hai ki hum
dil ke TukDe uDae baiThe hain
wo sar-e-bazm haal kya puchhen
mere matlab ko pae baiThe hain
ab ajal kyun ki aaegi dekhun
wo 'ayaadat ko aae baiThe hain
karte hain yun du'a ki hum goya
hath asar se uThae baiThe hain
agar aate hain wo to aane do
hum bhi aankhen bichhae baiThe hain
us ke dil mein asar kar ai girya
ghair kya ghar banae baiThe hain
us ke wa'de ko jaante hain hum
sham se zahr khae baiThe hain
dar se wahshat-zadon ko KHud na uTha
ye koi ek jae baiThe hain
ab to lab tak bhi aa na ai nale
hum tujhe aazmae baiThe hain
tum bhi kar jao paemal ki hum
naqsh-e-hasti miTae baiThe hain
kis ko dekha hai hazrat-e-'salik'
aaj kuchh munh banae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.