dil jala phir charagh jalte hi
dil jalā phir charāġh jalte hī
apne dukh bhī haiñ shaam jaise hī
kitne chehre utar ga.e dekho
dhuup dīvār se utarte hī
mausamoñ kā pata chalā mujh ko
rang dīvār kā badalte hī
ham ne dariyā meñ rāsta paayā
ik tirā naam le ke chalte hī
zindagī kitnī ḳhūbsūrat hai
haañ magar saañs ke ukhaḌte hī
'mīr' kī yaad aa ga.ī ham ko
sub.h karte hī shaam karte hī
ek zinda misāl thī na rahī
haa.e us aadmī ke marte hī
TūTnā apne dil kā yaad aaya
aa.ina TuuT kar bikharte hī
terā lahja 'matīn' aisā hai
phuul jhaḌte haiñ baat karte hī
dil jala phir charagh jalte hi
apne dukh bhi hain sham jaise hi
kitne chehre utar gae dekho
dhup diwar se utarte hi
mausamon ka pata chala mujh ko
rang diwar ka badalte hi
hum ne dariya mein rasta paya
ek tera nam le ke chalte hi
zindagi kitni KHubsurat hai
han magar sans ke ukhaDte hi
'mir' ki yaad aa gai hum ko
subh karte hi sham karte hi
ek zinda misal thi na rahi
hae us aadmi ke marte hi
TuTna apne dil ka yaad aaya
aaina TuT kar bikharte hi
tera lahja 'matin' aisa hai
phul jhaDte hain baat karte hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.