dil jalaya teri KHushi ke liye
dil jalāyā tirī ḳhushī ke liye
yā ḳhud apnī hī āgahī ke liye
haath par rakh ke apnī rūh-e-tapāñ
ham chale apnī rahbarī ke liye
nuur kī mahfiloñ meñ rahte haiñ
jo taraste haiñ raushnī ke liye
kitne ālām sah ga.e ham log
ek be-nām sī hañsī ke liye
āb-e-haivāñ bhī gar mile to na leñ
apne me.ār-e-tishnagī ke liye
phir koī qahr hazrat-e-yazdāñ
koī tahrīk bandagī ke liye
dil jalaya teri KHushi ke liye
ya KHud apni hi aagahi ke liye
hath par rakh ke apni ruh-e-tapan
hum chale apni rahbari ke liye
nur ki mahfilon mein rahte hain
jo taraste hain raushni ke liye
kitne aalam sah gae hum log
ek be-nam si hansi ke liye
aab-e-haiwan bhi gar mile to na len
apne mear-e-tishnagi ke liye
phir koi qahr hazrat-e-yazdan
koi tahrik bandagi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.