dil jo hansta hai to rone ka guman hota hai
dil jo hañstā hai to rone kā gumāñ hotā hai
ḳhud ko pā kar use khone kā gumāñ hotā hai
din ko jab ghar se nikaltā huuñ to aksar mujh ko
saa.e ke bojh ko Dhone kā gumāñ hotā hai
jab bhī aatī hai mire sahn meñ ḳhushbū-e-gul
tere ghar ke kisī kone kā gumāñ hotā hai
oḌh letā huuñ sharāroñ kī ridā.eñ jab meñ
reg-e-sahrā pe bichhaune kā gumāñ hotā hai
narm hote hī badal jaatī hai sūrat merī
yak-ba-yak chaak pe hone kā gumāñ hotā hai
ek hī ashk muqaddar se milā hai phir bhī
har kisī daaġh ko dhone kā gumāñ hotā hai
hech thī merī nigāhoñ meñ haqīqat lekin
ab to miTTī pe bhī sone kā gumāñ hotā hai
TūTne aur bikharne meñ lagā huuñ jab se
mujh ko apne pe khilaune kā gumāñ hotā hai
paar kartā huuñ samundar pe samundar 'rāhat'
phir bhī ḳhud ko hī Dubone kā gumāñ hotā hai
dil jo hansta hai to rone ka guman hota hai
KHud ko pa kar use khone ka guman hota hai
din ko jab ghar se nikalta hun to aksar mujh ko
sae ke bojh ko Dhone ka guman hota hai
jab bhi aati hai mere sahn mein KHushbu-e-gul
tere ghar ke kisi kone ka guman hota hai
oDh leta hun shararon ki ridaen jab mein
reg-e-sahra pe bichhaune ka guman hota hai
narm hote hi badal jati hai surat meri
yak-ba-yak chaak pe hone ka guman hota hai
ek hi ashk muqaddar se mila hai phir bhi
har kisi dagh ko dhone ka guman hota hai
hech thi meri nigahon mein haqiqat lekin
ab to miTTi pe bhi sone ka guman hota hai
TuTne aur bikharne mein laga hun jab se
mujh ko apne pe khilaune ka guman hota hai
par karta hun samundar pe samundar 'rahat'
phir bhi KHud ko hi Dubone ka guman hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.