dil jo shaista-e-jafa na hua
dil jo shā.ista-e-jafā na huā
lazzat-e-ġham se āshnā na huā
tū kabhī paas se judā na huā
dil magar sūrat-āshnā na huā
zindagī kā maza vo kyā jaane
jis ko marne kā hausla na huā
ham ko shikva rahā judā.ī kā
aur tū paas se judā na huā
tum se kahne se fā.eda koī
ḳhair jo kuchh huā burā na huā
sochte hī rahe kahīñ na kahīñ
na huā arz-e-mudda.ā na huā
yaad karte haiñ husn-o-ishq hameñ
mar ke bhī ḳhatm silsila na huā
dām-e-ulfat meñ jo phañsā 'nāshād'
ho ke āzād bhī rihā na huā
dil jo shaista-e-jafa na hua
lazzat-e-gham se aashna na hua
tu kabhi pas se juda na hua
dil magar surat-ashna na hua
zindagi ka maza wo kya jaane
jis ko marne ka hausla na hua
hum ko shikwa raha judai ka
aur tu pas se juda na hua
tum se kahne se faeda koi
KHair jo kuchh hua bura na hua
sochte hi rahe kahin na kahin
na hua arz-e-muddaa na hua
yaad karte hain husn-o-ishq hamein
mar ke bhi KHatm silsila na hua
dam-e-ulfat mein jo phansa 'nashad'
ho ke aazad bhi riha na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.