dil ka aalam bhi hua hai aalam-e-hu ki tarah
dil kā aalam bhī huā hai ālam-e-hū kī tarah
aañkh meñ tū har ghaḌī rahtā hai aañsū kī tarah
dil ke mausam meñ kabhī tabdīliyāñ aatī nahīñ
lagtī hai bād-e-sabā bhī kankanī lū kī tarah
ik tasavvur se tire mahkā hai merā añg añg
tū mire ehsās meñ bastā hai ḳhushbū kī tarah
saḳht kaalī raat meñ ummīd kā nanhā diyā
hai farozāñ dil meñ ik ma.asūm jugnū kī tarah
vasl kā aalam ki jaise hoñ shafaq kī lāliyāñ
hijr kā māhaul hai qurbat ke jaadū kī tarah
aa ga.ī lafzoñ meñ bhī lahje kī talḳhī is qadar
aap bhī us ne kahā mujh ko magar tū kī tarah
dhuup meñ baiThī thī apne baaġh meñ aur yuuñ lagā
Tahniyāñ do shajar kī haiñ us ke baazū kī tarah
guftugū kā ik alag munfarid andāz hai
lafz us ke bolte haiñ jaise ghuñghrū kī tarah
us ko bhī har vaqt rahtā hai talaffuz kā ḳhayāl
ishq maiñ ne bhī kiyā hai us se urdu kī tarah
dekhte hī dekhte 'ḳhanda' guzar jā.egī umr
vaqt hāthoñ se nikal jā.egā jugnū kī tarah
dil ka aalam bhi hua hai aalam-e-hu ki tarah
aankh mein tu har ghaDi rahta hai aansu ki tarah
dil ke mausam mein kabhi tabdiliyan aati nahin
lagti hai baad-e-saba bhi kankani lu ki tarah
ek tasawwur se tere mahka hai mera ang ang
tu mere ehsas mein basta hai KHushbu ki tarah
saKHt kali raat mein ummid ka nanha diya
hai farozan dil mein ek masum jugnu ki tarah
wasl ka aalam ki jaise hon shafaq ki laliyan
hijr ka mahaul hai qurbat ke jadu ki tarah
aa gai lafzon mein bhi lahje ki talKHi is qadar
aap bhi us ne kaha mujh ko magar tu ki tarah
dhup mein baiThi thi apne bagh mein aur yun laga
Tahniyan do shajar ki hain us ke bazu ki tarah
guftugu ka ek alag munfarid andaz hai
lafz us ke bolte hain jaise ghunghru ki tarah
us ko bhi har waqt rahta hai talaffuz ka KHayal
ishq main ne bhi kiya hai us se urdu ki tarah
dekhte hi dekhte 'KHanda' guzar jaegi umr
waqt hathon se nikal jaega jugnu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.