dil ka aana hua jaana dil ka
dil kā aanā huā jaanā dil kā
ban gayā dil hī nishāna dil kā
dil-lagī dil kī lagī bantī ga.ī
ban gayā rog lagānā dil kā
dil kī mahfil thī fasāne dil ke
kyā zamāna thā zamāna dil kā
dekhte rah ga.e hoñToñ kī hañsī
aap ne dard na jaanā dil kā
aql to roktī rahtī hai magar
chal hī jaatā hai nishāna dil kā
dil taḌap uThtā hai in bātoñ se
zikr bhī lab pe na laanā dil kā
mehrbānī hai tire jalvoñ kī
saj gayā ā.ina-ḳhāna dil kā
sunñe vāloñ ko to lagtā hai 'payām'
terā har sher fasāna dil kā
dil ka aana hua jaana dil ka
ban gaya dil hi nishana dil ka
dil-lagi dil ki lagi banti gai
ban gaya rog lagana dil ka
dil ki mahfil thi fasane dil ke
kya zamana tha zamana dil ka
dekhte rah gae honTon ki hansi
aap ne dard na jaana dil ka
aql to rokti rahti hai magar
chal hi jata hai nishana dil ka
dil taDap uThta hai in baaton se
zikr bhi lab pe na lana dil ka
mehrbani hai tere jalwon ki
saj gaya aaina-KHana dil ka
sunne walon ko to lagta hai 'payam'
tera har sher fasana dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.