dil ka aazar kam nahin hota
dil kā āzār kam nahīñ hotā
shauq-e-dīdār kam nahīñ hotā
baḌh rahī hai bahut masīhā.ī
dard-e-bīmār kam nahīñ hotā
sul.h-sāzān-e-bazm-e-ālam kā
josh-e-paikār kam nahīñ hotā
dekh kar tum ko aur ko dekheñ
ab to me.aar kam nahīñ hotā
un ke inkār-e-rūh-farsā se
un kā iqrār kam nahīñ hotā
ai falak aur koī taaza sitam
karam-e-yār kam nahīñ hotā
zāhirī haq-parastiyoñ se kabhī
kufr-e-dīñ-dār kam nahīñ hotā
daur-e-mai meñ kamī to aatī hai
shauq-e-mai-ḳhvār kam nahīñ hotā
mai se raġhbat hai shaiḳh ko har-chand
mai se inkār kam nahīñ hotā
'arsh' dād-e-suḳhan na milne se
lutf-e-ash.ār kam nahīñ hotā
dil ka aazar kam nahin hota
shauq-e-didar kam nahin hota
baDh rahi hai bahut masihai
dard-e-bimar kam nahin hota
sulh-sazan-e-bazm-e-alam ka
josh-e-paikar kam nahin hota
dekh kar tum ko aur ko dekhen
ab to mear kam nahin hota
un ke inkar-e-ruh-farsa se
un ka iqrar kam nahin hota
ai falak aur koi taza sitam
karam-e-yar kam nahin hota
zahiri haq-parastiyon se kabhi
kufr-e-din-dar kam nahin hota
daur-e-mai mein kami to aati hai
shauq-e-mai-KHwar kam nahin hota
mai se raghbat hai shaiKH ko har-chand
mai se inkar kam nahin hota
'arsh' dad-e-suKHan na milne se
lutf-e-ashaar kam nahin hota
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 114)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.