dil ka ahwal zamane pe ayan ho sakta
dil kā ahvāl zamāne pe ayaañ ho saktā
lafz ai kaash tamannā kī zabāñ ho saktā
ye samajhte hī nahīñ dard kā baa.is kyā hai
merā dil kaash dil-e-chāra-garāñ ho saktā
dekh saktā kisī ḳhanjar kī lapak kā manzar
koī ġham-ḳhvār qarīb-e-rag-e-jāñ ho saktā
chāñd kī mash.al-e-be-kār bujhā dī jaatī
raat par raat kā shiddat se gumāñ ho saktā
kam na hotī jo tapish dard ke añgāroñ kī
ruuh meñ hausla-e-zabt-e-fuġhāñ ho saktā
sher banñe se ḳhayālāt bikhar jaate haiñ
kaash 'jamshed' ye dukh yūñhī bayāñ ho saktā
dil ka ahwal zamane pe ayan ho sakta
lafz ai kash tamanna ki zaban ho sakta
ye samajhte hi nahin dard ka bais kya hai
mera dil kash dil-e-chaara-garan ho sakta
dekh sakta kisi KHanjar ki lapak ka manzar
koi gham-KHwar qarib-e-rag-e-jaan ho sakta
chand ki mashal-e-be-kar bujha di jati
raat par raat ka shiddat se guman ho sakta
kam na hoti jo tapish dard ke angaron ki
ruh mein hausla-e-zabt-e-fughan ho sakta
sher banne se KHayalat bikhar jate hain
kash 'jamshed' ye dukh yunhi bayan ho sakta
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 582)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.