dil ka daman rag-e-barik se bandha hua hai
dil kā dāman rag-e-bārīk se bāñdhā huā hai
ġhaur kar liije agar Thiik se bāñdhā huā hai
ek aañsū kahīñ girtā hai to kaañp uThtā huuñ
āsmāñ bhī isī taknīk se bāñdhā huā hai
us ke paañv ne baḌī duur kā va.ada kar ke
dil-e-ummīd ko nazdīk se bāñdhā huā hai
vo sitamgar bhī usī bhiiḌ meñ hai jis ne 'kumār'
shahr ko shahr kī tahrīk se bāñdhā huā hai
dil ka daman rag-e-barik se bandha hua hai
ghaur kar lije agar Thik se bandha hua hai
ek aansu kahin girta hai to kanp uThta hun
aasman bhi isi taknik se bandha hua hai
us ke panw ne baDi dur ka wada kar ke
dil-e-ummid ko nazdik se bandha hua hai
wo sitamgar bhi usi bhiD mein hai jis ne 'kumar'
shahr ko shahr ki tahrik se bandha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.