dil ka dipak jala ke dekha hai
dil kā dīpak jalā ke dekhā hai
ġham ke aañsū bahā ke dekhā hai
hasb-e-ḳhvāhish na mil sakā kuchh bhī
ham ne jīvan luTā ke dekhā hai
raam vo but na ho sakā ham se
har tarah se chhupā ke dekhā hai
phir palaT aa.ī rut bahāroñ kī
us ne jab muskurā ke dekhā hai
rāz-e-ulfat na chhup sakā phir bhī
har tarah se chhupā ke dekhā hai
koī apnā na ban sakā 'aḳhtar'
sab ko apnā banā ke dekhā hai
dil ka dipak jala ke dekha hai
gham ke aansu baha ke dekha hai
hasb-e-KHwahish na mil saka kuchh bhi
hum ne jiwan luTa ke dekha hai
ram wo but na ho saka hum se
har tarah se chhupa ke dekha hai
phir palaT aai rut bahaaron ki
us ne jab muskura ke dekha hai
raaz-e-ulfat na chhup saka phir bhi
har tarah se chhupa ke dekha hai
koi apna na ban saka 'aKHtar'
sab ko apna bana ke dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.