dil ka har dard kho gaya jaise
dil kā har dard kho gayā jaise
maiñ to patthar kā ho gayā jaise
daaġh baaqī nahīñ ki naqsh kahūñ
koī dīvār dho gayā jaise
jāgtā zehn ġham kī dhuup meñ thā
chhāñv paate hī so gayā jaise
dekhne vaalā thā kal us kā tapāk
phir se vo ġhair ho gayā jaise
kuchh bichhaḌne ke bhī tarīqe haiñ
ḳhair jaane do jo gayā jaise
dil ka har dard kho gaya jaise
main to patthar ka ho gaya jaise
dagh baqi nahin ki naqsh kahun
koi diwar dho gaya jaise
jagta zehn gham ki dhup mein tha
chhanw pate hi so gaya jaise
dekhne wala tha kal us ka tapak
phir se wo ghair ho gaya jaise
kuchh bichhaDne ke bhi tariqe hain
KHair jaane do jo gaya jaise
- Book : Lava (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.