dil ka kisi ko haal bataya nahin gaya
dil ka kisi ko haal bataya nahin gaya
Dharmendra Tijoriwale Azad
MORE BYDharmendra Tijoriwale Azad
dil kā kisī ko haal batāyā nahīñ gayā
is tarah ashk koī bhī zaa.e.a nahīñ gayā
tujh ko bhulā ke jaan se jaane kā Dar bhī thā
puurī tarah se tujh ko bhulāyā nahīñ gayā
dil TūTne kā jab se samajhne lagā huuñ dard
phir mujh se dil kisī kā dukhāyā nahīñ gayā
jaane se tere itnā huā hai faqat yahāñ
aa.ī ḳhushī to jashn manāyā nahīñ gayā
gir ke bhī uThtā ḳhvāb mere jab bhī chīḳhte
lekin koī bhī ḳhvāb dikhāyā nahīñ gayā
tirchhī ho raushnī to vo baḌhte zarūr haiñ
par āsmāñ talak koī saayā nahīñ gayā
us ne bhī to palaT ke nahīñ dekhā is taraf
hoñToñ pe us kā naam bhī laayā nahīñ gayā
dil ka kisi ko haal bataya nahin gaya
is tarah ashk koi bhi zaea nahin gaya
tujh ko bhula ke jaan se jaane ka Dar bhi tha
puri tarah se tujh ko bhulaya nahin gaya
dil TuTne ka jab se samajhne laga hun dard
phir mujh se dil kisi ka dukhaya nahin gaya
jaane se tere itna hua hai faqat yahan
aai KHushi to jashn manaya nahin gaya
gir ke bhi uThta KHwab mere jab bhi chiKHte
lekin koi bhi KHwab dikhaya nahin gaya
tirchhi ho raushni to wo baDhte zarur hain
par aasman talak koi saya nahin gaya
us ne bhi to palaT ke nahin dekha is taraf
honTon pe us ka nam bhi laya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.