dil ka muamla hai kahan tak nihan rahe
dil kā mu'āmla hai kahāñ tak nihāñ rahe
ash'ār hāl-e-dil mirā kar ke 'ayāñ rahe
tark-e-ta'alluqāt kā mujh ko gila nahīñ
hai dil ke ās-pās vo chāhe jahāñ rahe
jaarī mushā'iron meñ hai shirkat kā silsila
achchhā hai shā'irī kā tasalsul ravāñ rahe
the dil meñ jā-guzīn bahut aise log bhī
nāyāb ho ga.e haiñ vo zinda kahāñ rahe
jaañ vaar dī hai ham ne zarūrat paḌī agar
kuchh dost mere phir bhī bahut bad-gumāñ rahe
kuchh zindagī ke pal yuuñ muqaddar hoñ aahoñ kā
qātil kā tiir gar jo darūn-e-kamāñ rahe
be-mā'nī phir lageñge mohabbat ke saare naam
ik terā naam hī mire vird-e-zabāñ rahe
kahne ko e'tibār use mujh pe thā magar
kuchh vasvase to lagtā hai phir bhī nihāñ rahe
dil ka mu'amla hai kahan tak nihan rahe
ash'ar haal-e-dil mera kar ke 'ayan rahe
tark-e-ta'alluqat ka mujh ko gila nahin
hai dil ke aas-pas wo chahe jahan rahe
jari musha'iron mein hai shirkat ka silsila
achchha hai sha'iri ka tasalsul rawan rahe
the dil mein ja-guzin bahut aise log bhi
nayab ho gae hain wo zinda kahan rahe
jaan war di hai hum ne zarurat paDi agar
kuchh dost mere phir bhi bahut bad-guman rahe
kuchh zindagi ke pal yun muqaddar hon aahon ka
qatil ka tir gar jo darun-e-kaman rahe
be-ma'ni phir lagenge mohabbat ke sare nam
ek tera nam hi mere wird-e-zaban rahe
kahne ko e'tibar use mujh pe tha magar
kuchh waswase to lagta hai phir bhi nihan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.