dil ka shiraaza munazzam nahin hone pata
dil kā shīrāza munazzam nahīñ hone paatā
nāz-e-ḳhud-rā.ī magar kam nahīñ hone paatā
ḳhud-parastī kī havas jis meñ samā jaatī hai
vo mukarram vo muazzam nahīñ hone paatā
nazm nāsūr huā jaatā hai dhīre dhīre
kārgar koī bhī marham nahīñ hone paatā
ek sā rahtā hai ye dil ke nihāñ-ḳhāne meñ
besh-o-kam dard-e-shab-e-ġham nahīñ hone paatā
kabhī duur aur kabhī qurb lagā rahtā hai
mustaqil rishta-e-bāham nahīñ hone paatā
vādī-e-dil meñ chalā aatā hai chupke se koī
kabhī tanhā.ī kā aalam nahīñ hone paatā
choT lag jaa.e unheñ gul se to gulshan ro.e
mirī barbādī kā mātam nahīñ hone paatā
eḌiyāñ mārne vaale haiñ zamāne meñ bahut
kyoñ ravāñ chashma-e-zamzam nahīñ hone paatā
dast-o-bāzū-e-ḳhilāfat ko bachā lete agar
sar-nigūñ apnā ye parcham nahīñ hone paatā
jo bhī aatā hai havā de ke chalā jaatā hai
koī sho.ala kabhī shabnam nahīñ hone paatā
yaad rakh 'shād' kabhī haqq-o-sadāqat kā charāġh
sarsar-e-vaqt se maddham nahīñ hone paatā
dil ka shiraaza munazzam nahin hone pata
naz-e-KHud-rai magar kam nahin hone pata
KHud-parasti ki hawas jis mein sama jati hai
wo mukarram wo muazzam nahin hone pata
nazm nasur hua jata hai dhire dhire
kargar koi bhi marham nahin hone pata
ek sa rahta hai ye dil ke nihan-KHane mein
besh-o-kam dard-e-shab-e-gham nahin hone pata
kabhi dur aur kabhi qurb laga rahta hai
mustaqil rishta-e-baham nahin hone pata
wadi-e-dil mein chala aata hai chupke se koi
kabhi tanhai ka aalam nahin hone pata
choT lag jae unhen gul se to gulshan roe
meri barbaadi ka matam nahin hone pata
eDiyan marne wale hain zamane mein bahut
kyon rawan chashma-e-zamzam nahin hone pata
dast-o-bazu-e-KHilafat ko bacha lete agar
sar-nigun apna ye parcham nahin hone pata
jo bhi aata hai hawa de ke chala jata hai
koi shoala kabhi shabnam nahin hone pata
yaad rakh 'shad' kabhi haqq-o-sadaqat ka charagh
sarsar-e-waqt se maddham nahin hone pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.