dil ka sukun DhunDhne jae bashar kahan
dil kā sukūn DhūñDhne jaa.e bashar kahāñ
aisā nagar hai kaun sā aisā hai dar kahāñ
tum ne to kah diyā ki chale jaao bazm se
ye to batā do ham ko ki jaa.eñ kidhar kahāñ
us kī galī ko chhoḌ ke aa to ga.e magar
ab sochte haiñ guzreñge shām-o-sahar kahāñ
baiTho hamāre paas karo ham se dil kī baat
har aadmī milegā tumheñ mo'atabar kahāñ
phailī huī hai dhuup masā.ib kī duur tak
ab sāya-dār raah meñ merī shajar kahāñ
jab chārāgar hī koī nahīñ tere shahar meñ
le kar maiñ jā.ūñ apnā ye zaḳhm-e-jigar kahāñ
kisī kī 'qamar' talāsh hai kisī kī hai aarzū
nikle ho itnī raat meñ tanhā idhar kahāñ
dil ka sukun DhunDhne jae bashar kahan
aisa nagar hai kaun sa aisa hai dar kahan
tum ne to kah diya ki chale jao bazm se
ye to bata do hum ko ki jaen kidhar kahan
us ki gali ko chhoD ke aa to gae magar
ab sochte hain guzrenge sham-o-sahar kahan
baiTho hamare pas karo hum se dil ki baat
har aadmi milega tumhein mo'atabar kahan
phaili hui hai dhup masaib ki dur tak
ab saya-dar rah mein meri shajar kahan
jab chaaragar hi koi nahin tere shahar mein
le kar main jaun apna ye zaKHm-e-jigar kahan
kisi ki 'qamar' talash hai kisi ki hai aarzu
nikle ho itni raat mein tanha idhar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.