dil ka TuTa hua arman nahin hona tha
dil ka TuTa hua arman nahin hona tha
Shahabuddin Shah Qannauji
MORE BYShahabuddin Shah Qannauji
dil kā TuuTā huā armān nahīñ honā thā
ham ko itnā bhī to āsān nahīñ honā thā
jā-e-qismat hai mohabbat kā adhūrā honā
dil to banñā thā mujhe jaan nahīñ honā thā
sunte aa.e haiñ ham aadam kā nikalnā aksar
kū-e-dil kā mujhe mehmān nahīñ honā thā
ḳhushk hijrat ke sune ham ne fasāne kitne
mujh ko hijrat kā bhī sāmān nahīñ honā thā
apne sapnoñ kī ijāzat hai sabhī ko yaaro
gul use honā thā gul-dān nahīñ honā thā
bādaloñ se hameñ ummīd nahīñ bārish kī
aur āñkhoñ se bhī imkān nahīñ honā thā
us kī yādoñ ko kaleje se lagā.e rakhnā
'shāh' ḳhud ko bhī to vīrān nahīñ honā thā
dil ka TuTa hua arman nahin hona tha
hum ko itna bhi to aasan nahin hona tha
ja-e-qismat hai mohabbat ka adhura hona
dil to banna tha mujhe jaan nahin hona tha
sunte aae hain hum aadam ka nikalna aksar
ku-e-dil ka mujhe mehman nahin hona tha
KHushk hijrat ke sune hum ne fasane kitne
mujh ko hijrat ka bhi saman nahin hona tha
apne sapnon ki ijazat hai sabhi ko yaro
gul use hona tha gul-dan nahin hona tha
baadalon se hamein ummid nahin barish ki
aur aankhon se bhi imkan nahin hona tha
us ki yaadon ko kaleje se lagae rakhna
'shah' KHud ko bhi to viran nahin hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.