dil kar raha hai kyon nigah-e-yar ki talash
dil kar rahā hai kyoñ nigah-e-yār kī talāsh
bīmār ko bhī hotī hai bīmār kī talāsh
ab tiir kī talāsh na talvār kī talāsh
dil ko faqat hai abrū-e-ḳhamdār kī talāsh
jalve ko phir hai madd-e-nazar imtihān-e-hosh
phir tuur ko hai tālib-e-dīdār kī talāsh
tere ḳhayāl tere tasavvur ke sāmne
bīmār-e-ishq ko nahīñ ġham-ḳhvār kī talāsh
chhā.egī hashr meñ jo ghaTā lutf-e-ām kī
rahmat karegī ḳhud hī gunahgār kī talāsh
talvoñ ko mere dasht-navardī kī aarzū
aur ābloñ ko vādī-e-pur-ḳhār kī talāsh
'muztar' kisī kī dil hī meñ karnī thī justujū
dair-o-haram meñ aap ne bekār kī talāsh
dil kar raha hai kyon nigah-e-yar ki talash
bimar ko bhi hoti hai bimar ki talash
ab tir ki talash na talwar ki talash
dil ko faqat hai abru-e-KHamdar ki talash
jalwe ko phir hai madd-e-nazar imtihan-e-hosh
phir tur ko hai talib-e-didar ki talash
tere KHayal tere tasawwur ke samne
bimar-e-ishq ko nahin gham-KHwar ki talash
chhaegi hashr mein jo ghaTa lutf-e-am ki
rahmat karegi KHud hi gunahgar ki talash
talwon ko mere dasht-nawardi ki aarzu
aur aablon ko wadi-e-pur-KHar ki talash
'muztar' kisi ki dil hi mein karni thi justuju
dair-o-haram mein aap ne bekar ki talash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.