dil kare jab aap ka mujhko rulaya kijiye
dil kare jab aap kā mujh ko rulāyā kījiye
aap ġham kī ye davā mere ḳhudārā kījiye
lutf aa.e aap ko saare jahāñ se jiit kā
mere jaise jaan kar ḳhud se hī haarā kījiye
kyā karogī ḳhvāb meñ mujh ko bulā kar soch lo
ho rahā hai jis tarah apnā guzārā kījiye
ā.ina-gar se jo pūchhā dekhī hai sūrat kabhī
muskurā kar bolā is ko pāra-pāra kījiye
shikva-e-bedād ḳhud se kījiye ab aur kyā
jab kiyā maiñ ne yaqīñ to aap dhokā kījiye
maiñ to ik shā.ir huuñ āḳhir aap ke kis kaam kā
gar samajh meñ kuchh na aa.e istiḳhāra kījiye
rū-ba-rū ġham se karāyā aap ko to ḳhush raheñ
jī meñ aa.e aap ke ab jo bhī yaarā kījiye
dil kare jab aap ka mujh ko rulaya kijiye
aap gham ki ye dawa mere KHudara kijiye
lutf aae aap ko sare jahan se jit ka
mere jaise jaan kar KHud se hi haara kijiye
kya karogi KHwab mein mujh ko bula kar soch lo
ho raha hai jis tarah apna guzara kijiye
aaina-gar se jo puchha dekhi hai surat kabhi
muskura kar bola is ko para-para kijiye
shikwa-e-bedad KHud se kijiye ab aur kya
jab kiya main ne yaqin to aap dhoka kijiye
main to ek shair hun aaKHir aap ke kis kaam ka
gar samajh mein kuchh na aae istiKHara kijiye
ru-ba-ru gham se karaya aap ko to KHush rahen
ji mein aae aap ke ab jo bhi yara kijiye
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 298)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.