dil ke aaine mein kuchh chehre jo gauhar Thahre
dil ke ā.īne meñ kuchh chehre jo gauhar Thahre
un ko nazdīk se dekhā to vo patthar Thahre
aaj kāzib bhī ye chāhe hai ki farmān us kā
saarī duniyā pe chale qaul-e-payambar Thahre
dil kā vīrāna bhī mumkin hai mo.attar ho jaa.e
kaun jaane ki ik-ik zaḳhm gul-e-tar Thahre
zulm sahnā bhī to zālim kī taraf-dārī hai
tum bhī muusā bano gar vaqt sitamgar Thahre
un ke dāman pe nazar aa.e lahū ke chhīñTe
amn-o-insāf ke jo log payambar Thahre
ziist kā raaz khulā hai usī dīvāne par
raqs-e-ḳhanjar jise mahbūb kā paikar Thahre
apnī bhī zaat kā irfān nahīñ hai jin ko
ahd-e-hāzir meñ bashar ke vahī rahbar Thahre
kī thī hamvār kabhī jin ke liye rāh-e-hayāt
ab vahī log mirī raah kā patthar Thahre
kaise ārām kā aa jaa.e ḳhayāl ai 'mehdī'
zindagī jab kisī bīmār kā bistar Thahre
dil ke aaine mein kuchh chehre jo gauhar Thahre
un ko nazdik se dekha to wo patthar Thahre
aaj kazib bhi ye chahe hai ki farman us ka
sari duniya pe chale qaul-e-payambar Thahre
dil ka virana bhi mumkin hai moattar ho jae
kaun jaane ki ik-ik zaKHm gul-e-tar Thahre
zulm sahna bhi to zalim ki taraf-dari hai
tum bhi musa bano gar waqt sitamgar Thahre
un ke daman pe nazar aae lahu ke chhinTe
amn-o-insaf ke jo log payambar Thahre
zist ka raaz khula hai usi diwane par
raqs-e-KHanjar jise mahbub ka paikar Thahre
apni bhi zat ka irfan nahin hai jin ko
ahd-e-hazir mein bashar ke wahi rahbar Thahre
ki thi hamwar kabhi jin ke liye rah-e-hayat
ab wahi log meri rah ka patthar Thahre
kaise aaram ka aa jae KHayal ai 'mehdi'
zindagi jab kisi bimar ka bistar Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.