dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi
dil ke andar ik zarā sī be-kalī hai aaj bhī
jo mire afkār meñ ras gholtī hai aaj bhī
yuuñ to vo dīvār ban ke aa gayā hai darmiyāñ
merī apne aap se kuchh dostī hai aaj bhī
pattharoñ par chal ke sab ne paañv zaḳhmī kar liye
jabki us ke dar kā rasta maḳhmalī hai aaj bhī
ruḳh havāoñ kā badalnā jānte haiñ log jo
bas unhīñ ke har diye meñ raushnī hai aaj bhī
jin savāloñ kā nahīñ hotā koī musbat javāb
un savāloñ se ulajhtā aadmī hai aaj bhī
sīkhtā hai yuuñ to insāñ har tarīqe kī zabāñ
sab se āsāñ sab se behtar ḳhāmushī hai aaj bhī
jis ke chalte maiñ ne DhūñDe the ka.ī raste na.e
DhūñDhtī mujh ko vahī āvārgī hai aaj bhī
kitne Duube kitne ubhre kyā ḳhabar un ko 'faroġh'
bah rahī chup-chāp yuuñ hī har nadī hai aaj bhī
dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi
jo mere afkar mein ras gholti hai aaj bhi
yun to wo diwar ban ke aa gaya hai darmiyan
meri apne aap se kuchh dosti hai aaj bhi
pattharon par chal ke sab ne panw zaKHmi kar liye
jabki us ke dar ka rasta maKHmali hai aaj bhi
ruKH hawaon ka badalna jaante hain log jo
bas unhin ke har diye mein raushni hai aaj bhi
jin sawalon ka nahin hota koi musbat jawab
un sawalon se ulajhta aadmi hai aaj bhi
sikhta hai yun to insan har tariqe ki zaban
sab se aasan sab se behtar KHamushi hai aaj bhi
jis ke chalte main ne DhunDe the kai raste nae
DhunDhti mujh ko wahi aawargi hai aaj bhi
kitne Dube kitne ubhre kya KHabar un ko 'farogh'
bah rahi chup-chap yun hi har nadi hai aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.