dil ke andar utar gaya koi
dil ke andar utar gayā koī
zaḳhm chupke se bhar gayā koī
yaad aa.ī thī kal ġhazal ban ke
Diary meñ utar gayā koī
apnī ThanDak bharī masīhā.ī
bin chhue dil meñ bhar gayā koī
jis ke aane se saañs aa.ī thī
us ke jaane se mar gayā koī
jannatoñ tak rahūñgā saath tire
kar ke va.ada mukar gayā koī
haa.e pahlī uḌaan se pahle
ishq ke par katar gayā koī
muddatoñ tak jam.a huī thī ghuTan
itifāqan bikhar gayā koī
zaid ke zehn meñ rahā maulā
DhūñDne dar-ba-dar gayā koī
dil ke andar utar gaya koi
zaKHm chupke se bhar gaya koi
yaad aai thi kal ghazal ban ke
Diary mein utar gaya koi
apni ThanDak bhari masihai
bin chhue dil mein bhar gaya koi
jis ke aane se sans aai thi
us ke jaane se mar gaya koi
jannaton tak rahunga sath tere
kar ke wada mukar gaya koi
hae pahli uDan se pahle
ishq ke par katar gaya koi
muddaton tak jama hui thi ghuTan
itifaqan bikhar gaya koi
zaid ke zehn mein raha maula
DhunDne dar-ba-dar gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.