dil ke bahlane ke asbab kahan se laen
dil ke bahlāne ke asbāb kahāñ se laa.eñ
roz āñkhoñ ke liye ḳhvāb kahāñ se laa.eñ
phir vo chehra vahī bhīge hue mausam kā nasha
tirī ḳhātir dil-e-be-tāb kahāñ se laa.eñ
vo ki thā jin kī rifāqat pe hameñ naaz bahut
DhūñD kar ab vahī ahbāb kahāñ se laa.eñ
roz vo dil pe lagā jaa.e hai ik zaḳhm nayā
dard sahne kī bhī ham taab kahāñ se laa.eñ
ik 'jahāñgīr' añdherā hai ufuq-tā-ba-ufuq
saath apne koī mahtāb kahāñ se laa.eñ
dil ke bahlane ke asbab kahan se laen
roz aankhon ke liye KHwab kahan se laen
phir wo chehra wahi bhige hue mausam ka nasha
teri KHatir dil-e-be-tab kahan se laen
wo ki tha jin ki rifaqat pe hamein naz bahut
DhunD kar ab wahi ahbab kahan se laen
roz wo dil pe laga jae hai ek zaKHm naya
dard sahne ki bhi hum tab kahan se laen
ek 'jahangir' andhera hai ufuq-ta-ba-ufuq
sath apne koi mahtab kahan se laen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.