dil ke be-tartib virane ko ghar usne kiya
dil ke be-tartīb vīrāne ko ghar us ne kiyā
phir nizām-e-zindagī zer-o-zabar us ne kiyā
aas ke raushan diye rakh kar fasīl-e-shām par
raat ke andhe safar ko be-ḳhatar us ne kiyā
ek us ke dam se har mausam huā rashk-e-bahār
ek shāḳh-e-ārzū ko be-samar us ne kiyā
an-kahe lafzoñ ko baḳhshā ik nayā tarz-e-kalām
an-bahe ashkoñ ko phir la.al-o-gohar us ne kiyā
be-qarārī thī jise sunñe-sunāne ke liye
harf-e-shauq-e-be-karāñ ko muḳhtasar us ne kiyā
ḳhvāb meñ milnā to goyā roz kā ma.amūl thā
is anokhe khel ko yuuñ mo'atabar us ne kiyā
umr-bhar jis ko nigāheñ DhūñDhtī phirtī raheñ
umr-bhar mere ḳhayāloñ meñ basar us ne kiyā
kar rahā thā vo bhī taare toḌ kar laane kī baat
be-sabab lamhoñ kā jaadū be-asar us ne kiyā
kahkashāñ phirtī rahī galiyoñ meñ kis ko DhūñDhtī
log kahte haiñ mire ghar tak safar us ne kiyā
dil ke be-tartib virane ko ghar us ne kiya
phir nizam-e-zindagi zer-o-zabar us ne kiya
aas ke raushan diye rakh kar fasil-e-sham par
raat ke andhe safar ko be-KHatar us ne kiya
ek us ke dam se har mausam hua rashk-e-bahaar
ek shaKH-e-arzu ko be-samar us ne kiya
an-kahe lafzon ko baKHsha ek naya tarz-e-kalam
an-bahe ashkon ko phir lal-o-gohar us ne kiya
be-qarari thi jise sunne-sunane ke liye
harf-e-shauq-e-be-karan ko muKHtasar us ne kiya
KHwab mein milna to goya roz ka mamul tha
is anokhe khel ko yun mo'atabar us ne kiya
umr-bhar jis ko nigahen DhunDhti phirti rahen
umr-bhar mere KHayalon mein basar us ne kiya
kar raha tha wo bhi tare toD kar lane ki baat
be-sabab lamhon ka jadu be-asar us ne kiya
kahkashan phirti rahi galiyon mein kis ko DhunDhti
log kahte hain mere ghar tak safar us ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.