dil ke charKHe pe sut sanson ka
dil ke charḳhe pe suut sāñsoñ kā
kaate jaate haiñ aur zinda haiñ
ho ga.ī ġhair vo galī phir bhī
aate jaate haiñ aur zinda haiñ
ahl-e-dil bol ik mohabbat kā
gaate jaate haiñ aur zinda haiñ
rang ḳhushbū fazā na.e manzar
bhāte jaate haiñ aur zinda haiñ
har qadam par fareb-e-dildārī
khāte jaate haiñ aur zinda haiñ
dil ke charKHe pe sut sanson ka
kate jate hain aur zinda hain
ho gai ghair wo gali phir bhi
aate jate hain aur zinda hain
ahl-e-dil bol ek mohabbat ka
gate jate hain aur zinda hain
rang KHushbu faza nae manzar
bhate jate hain aur zinda hain
har qadam par fareb-e-dildari
khate jate hain aur zinda hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.