dil ke dagh numayan honge zaKHmon ki ruswai hogi
dil ke dagh numayan honge zaKHmon ki ruswai hogi
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
dil ke daaġh numāyāñ hoñge zaḳhmoñ kī rusvā.ī hogī
zālim ke andāz na pūchho apnī baat parā.ī hogī
har jā sāzish har jā pahre ek zamāna dushman sā hai
sochtā huuñ ik shoḳh ne kaise pyaar se aañkh milā.ī hogī
shahr-e-vafā kā dushman hai tū jitnā chāhe ġhārat kar le
kal to aañkh milā kar ham se aañkh tirī sharmā.ī hogī
jhāñk rahe ho duur se ab tak shītal nain kañval meñ kyā kyā
Duub ke dekho in āñkhoñ meñ kitnī hī gahrā.ī hogī
mānte haiñ is daur meñ 'sarmad' dhuum machī hai ayyāroñ kī
jaag uThā insān to ik din har jānib sachchā.ī hogī
dil ke dagh numayan honge zaKHmon ki ruswai hogi
zalim ke andaz na puchho apni baat parai hogi
har ja sazish har ja pahre ek zamana dushman sa hai
sochta hun ek shoKH ne kaise pyar se aankh milai hogi
shahr-e-wafa ka dushman hai tu jitna chahe ghaarat kar le
kal to aankh mila kar hum se aankh teri sharmai hogi
jhank rahe ho dur se ab tak shital nain kanwal mein kya kya
Dub ke dekho in aankhon mein kitni hi gahrai hogi
mante hain is daur mein 'sarmad' dhum machi hai ayyaron ki
jag uTha insan to ek din har jaanib sachchai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.