dil ke dar par kisī dastak kī sadā aane se
maiñ bhī kuchh der nikal aayā huuñ tah-ḳhāne se
merī bastī pe musallat huī tab ḳhāmoshī
jab koī shor uThā thā mire vīrāne se
mujhe ġhairoñ meñ bhī apnoñ se mile haiñ kuchh log
mere apnoñ meñ bhī kuchh log haiñ begāne se
kisī anjān ujāle meñ unheñ jab dekhā
mere pahchāne badan bhī lage anjāne se
chaah kar bhī kabhī pāoge na aisā koī
jo bhī chāhā hai vo mil jaa.e jise paane se
baat ye sun ke baḌī ḳhush hai mirī bechainī
ruuh martī nahīñ hai jism ke mar jaane se
kuchh bhī milnā nahīñ hai aur mujhe uljhā kar
na hī milnā hai tumheñ kuchh mujhe suljhāne se
dil ke dar par kisi dastak ki sada aane se
main bhi kuchh der nikal aaya hun tah-KHane se
meri basti pe musallat hui tab KHamoshi
jab koi shor uTha tha mere virane se
mujhe ghairon mein bhi apnon se mile hain kuchh log
mere apnon mein bhi kuchh log hain begane se
kisi anjaan ujale mein unhen jab dekha
mere pahchane badan bhi lage anjaane se
chah kar bhi kabhi paoge na aisa koi
jo bhi chaha hai wo mil jae jise pane se
baat ye sun ke baDi KHush hai meri bechaini
ruh marti nahin hai jism ke mar jaane se
kuchh bhi milna nahin hai aur mujhe uljha kar
na hi milna hai tumhein kuchh mujhe suljhane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.