dil ke ehsas mein bhi jaan to ho sakti hai
dil ke ehsās meñ bhī jaan to ho saktī hai
gar banā.eñ ġhazal insān to ho saktī hai
ye laḌā.ī hai mohabbat kī jo nafrat se yahāñ
ik qalam jang kā sāmān to ho saktī hai
uñgliyāñ merī musalsal jahāñ chaltī jaa.eñ
terī ye zulf vo maidān to ho saktī hai
na ho ābād magar husn baḌhāne ke liye
shahr-e-dil kī galī vīrān to ho saktī hai
auroñ ke naam se bhī sāhib-e-dīvān hoñ par
mere me'yār kī pahchān to ho saktī hai
shahriyat milnī nahīñ pyaar ko us ke dil meñ
kuchh dinoñ ke liye mehmān to ho saktī hai
dard kī mere davā to na banā.ī kisī ne
kuchh madad 'mīr' kā dīvān to ho saktī hai
dil ke ehsas mein bhi jaan to ho sakti hai
gar banaen ghazal insan to ho sakti hai
ye laDai hai mohabbat ki jo nafrat se yahan
ek qalam jang ka saman to ho sakti hai
ungliyan meri musalsal jahan chalti jaen
teri ye zulf wo maidan to ho sakti hai
na ho aabaad magar husn baDhane ke liye
shahr-e-dil ki gali viran to ho sakti hai
auron ke nam se bhi sahib-e-diwan hon par
mere me'yar ki pahchan to ho sakti hai
shahriyat milni nahin pyar ko us ke dil mein
kuchh dinon ke liye mehman to ho sakti hai
dard ki mere dawa to na banai kisi ne
kuchh madad 'mir' ka diwan to ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.