dil ke gulshan mein chali baad-e-saba raat gae
dil ke gulshan meñ chalī bād-e-sabā raat ga.e
ḳhuub chhā.ī tirī yādoñ kī ghaTā raat ga.e
jazba-e-'ishq ne har tarh ke bandhan toḌe
vo nibhāne jo chalā rasm-e-vafā raat ga.e
zaḳhm khul uThte haiñ jazbāt bhaḌak uThte haiñ
un ke kūche se jo aatī hai havā raat ga.e
khil uThe ġhuncha-e-nau bū-e-saman jaag uThī
jaise niklā hai koī māh-laqā raat ga.e
aaj maazī ke darīchoñ se hai jhāñkā kis ne
zaḳhm-e-derīna meñ kyoñ dard uThā raat ga.e
phuul māyūsī ke sahrā meñ bhī khil jaate haiñ
jab bhī hotā hai koī naġhma-sarā raat ga.e
dil ke gulshan mein chali baad-e-saba raat gae
KHub chhai teri yaadon ki ghaTa raat gae
jazba-e-'ishq ne har tarh ke bandhan toDe
wo nibhane jo chala rasm-e-wafa raat gae
zaKHm khul uThte hain jazbaat bhaDak uThte hain
un ke kuche se jo aati hai hawa raat gae
khil uThe ghuncha-e-nau bu-e-saman jag uThi
jaise nikla hai koi mah-laqa raat gae
aaj mazi ke darichon se hai jhanka kis ne
zaKHm-e-derina mein kyon dard uTha raat gae
phul mayusi ke sahra mein bhi khil jate hain
jab bhi hota hai koi naghma-sara raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.