dil ke hathon shisha-e-idrak bhi dhundla kiye
dil ke hāthoñ shīsha-e-idrāk bhī dhuñdlā kiye
jo na dekhā chāhiye thā ham vahī dekhā kiye
dhuul ho is dars-gāh-e-ilm kī kis ko nasīb
apnī hastī jī rahe haiñ ham jahāñ rusvā kiye
lamha bhar ko bhuul baiThā maiñ kisī kā kuchh nahīñ
aur mire ahbāb mujh ko kyā se kyā samjhā kiye
barf ho kar ārizoñ kī ik tamāzat ke tufail
muddatoñ ham ātish-e-sayyāl se pighlā kiye
ik likhe ko kitnā paḌhte paḌh chuke ham umar bhar
zinda rah kar zindagī kī chaah meñ taḌpā kiye
āsmāñ chhūne kī hasrat sab ko is ke bāvajūd
saare insāñ tū ne jab ki ḳhaak se paidā kiye
zeb-e-chehra thiiñ ḳharāsheñ aa.ine bhī dhund the
hosh vaale aañkh rakh kar vāhima samjhā kiye
dil ke hathon shisha-e-idrak bhi dhundla kiye
jo na dekha chahiye tha hum wahi dekha kiye
dhul ho is dars-gah-e-ilm ki kis ko nasib
apni hasti ji rahe hain hum jahan ruswa kiye
lamha bhar ko bhul baiTha main kisi ka kuchh nahin
aur mere ahbab mujh ko kya se kya samjha kiye
barf ho kar aarizon ki ek tamazat ke tufail
muddaton hum aatish-e-sayyal se pighla kiye
ek likhe ko kitna paDhte paDh chuke hum umar bhar
zinda rah kar zindagi ki chah mein taDpa kiye
aasman chhune ki hasrat sab ko is ke bawajud
sare insan tu ne jab ki KHak se paida kiye
zeb-e-chehra thin KHarashen aaine bhi dhund the
hosh wale aankh rakh kar wahima samjha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.