dil ke jazbaat ko honTon se dabaate kyon ho
dil ke jazbaat ko honTon se dabaate kyon ho
Farman Ziyai Sirojni
MORE BYFarman Ziyai Sirojni
dil ke jazbāt ko hoñToñ se dabāte kyoñ ho
aag lag jaane do sho'loñ ko bujhāte kyoñ ho
mujh ko aana hai to vaise bhī chalā ā.ūñgā
rahne do raah meñ phūloñ ko bichhāte kyoñ ho
thoḌī der aur mire dil kī sadā.eñ sun lo
itnī jaldī hai jo jaane kī to aate kyoñ ho
ham-safar tum nahīñ hoge to bhaTak jā.ūñgā
raah meñ chhoḌ ke tanhā mujhe jaate kyoñ ho
tum ko in se na mayassar kabhī ḳhushbū hogī
kāġhazī phūloñ se gul-dān sajāte kyoñ ho
ham ne har-hāl meñ ulfat kā bharam rakhā hai
bevafā ham haiñ ye ilzām lagāte kyoñ ho
un ko 'farmān' sunāo to koī baat bane
ġham kī rūdād zamāne ko sunāte kyoñ ho
dil ke jazbaat ko honTon se dabaate kyon ho
aag lag jaane do sho'lon ko bujhate kyon ho
mujh ko aana hai to waise bhi chala aaunga
rahne do rah mein phulon ko bichhate kyon ho
thoDi der aur mere dil ki sadaen sun lo
itni jaldi hai jo jaane ki to aate kyon ho
ham-safar tum nahin hoge to bhaTak jaunga
rah mein chhoD ke tanha mujhe jate kyon ho
tum ko in se na mayassar kabhi KHushbu hogi
kaghazi phulon se gul-dan sajate kyon ho
hum ne har-haal mein ulfat ka bharam rakha hai
bewafa hum hain ye ilzam lagate kyon ho
un ko 'farman' sunao to koi baat bane
gham ki rudad zamane ko sunate kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.