dil ke kabe ko gira deta hai Darta bhi nahin
dil ke kā'be ko girā detā hai Dartā bhī nahīñ
kaun hai hajjāj-bin-yūsuf jo martā bhī nahīñ
ye sitāra āsmāñ kī is tamāshā-gāh meñ
Duub jaatā hai to dobāra ubhartā bhī nahīñ
dhuup kaisī hai jo is paanī meñ ghultī hī nahīñ
rang kaisā hai jo she'roñ se utartā bhī nahīñ
shor hotā jā rahā hai lahreñ ruktī hī nahīñ
peḌ ugte jā rahe haiñ dasht bhartā bhī nahīñ
aañkh hai jo jazb kar letī hai har manzar kahīñ
ye samundar hai ki jo bhar kar biphartā bhī nahīñ
ye zamīñ ye chāñd sayyāre haiñ sab daryūza-gar
asl meñ sūraj kahīñ nīche utartā bhī nahīñ
is meñ be-rangī kī āmezish zarūrī hai bahut
rang ik ho to ziyāda din Thahartā bhī nahīñ
rafta-rafta ham banā lete haiñ vo īmāñ kā juz
jo taqāzā ham se ḳhud īmān kartā bhī nahīñ
maut se kis ko mafar hotā hai lekin aadmī
baat ye hai asl meñ ik baar martā bhī nahīñ
dil ke ka'be ko gira deta hai Darta bhi nahin
kaun hai hajjaj-bin-yusuf jo marta bhi nahin
ye sitara aasman ki is tamasha-gah mein
Dub jata hai to dobara ubharta bhi nahin
dhup kaisi hai jo is pani mein ghulti hi nahin
rang kaisa hai jo she'ron se utarta bhi nahin
shor hota ja raha hai lahren rukti hi nahin
peD ugte ja rahe hain dasht bharta bhi nahin
aankh hai jo jazb kar leti hai har manzar kahin
ye samundar hai ki jo bhar kar bipharta bhi nahin
ye zamin ye chand sayyare hain sab daryuza-gar
asl mein suraj kahin niche utarta bhi nahin
is mein be-rangi ki aamezish zaruri hai bahut
rang ek ho to ziyaada din Thaharta bhi nahin
rafta-rafta hum bana lete hain wo iman ka juz
jo taqaza hum se KHud iman karta bhi nahin
maut se kis ko mafar hota hai lekin aadmi
baat ye hai asl mein ek bar marta bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.