dil ke maron se baat karta hun
dil ke māroñ se baat kartā huuñ
apne yāroñ se baat kartā huuñ
raat tanhā guzar hī jaatī hai
jab sitāroñ se baat kartā huuñ
sab ko bas phuul se mohabbat hai
maiñ hī ḳhāroñ se baat kartā huuñ
tere hote hue zamāne meñ
maiñ hazāroñ se baat kartā huuñ
vaqt par kaam kyoñ nahīñ aa.e
ġhamgusāroñ se baat kartā huuñ
ek muddat kiyā ḳhizāñ kā safar
ab bahāroñ se baat kartā huuñ
mai ko bhar kar gilās meñ 'sohil'
ābshāroñ se baat kartā huuñ
dil ke maron se baat karta hun
apne yaron se baat karta hun
raat tanha guzar hi jati hai
jab sitaron se baat karta hun
sab ko bas phul se mohabbat hai
main hi KHaron se baat karta hun
tere hote hue zamane mein
main hazaron se baat karta hun
waqt par kaam kyon nahin aae
ghamgusaron se baat karta hun
ek muddat kiya KHizan ka safar
ab bahaaron se baat karta hun
mai ko bhar kar gilas mein 'sohil'
aabshaaron se baat karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.