dil ke mehman ho gae hain hum
dil ke mehmān ho ga.e haiñ ham
kitne āsān ho ga.e haiñ ham
tū hameñ apne saath chalne de
terī pahchān ho ga.e haiñ ham
prem kī ham pe ho ga.ī kirpā
us kā vardān ho ga.e haiñ ham
koī kaise judā karegā hameñ
jism aur jaan ho ga.e haiñ ham
tū sharaddhā hamārī ban ke dikhā
terā īmān ho ga.e haiñ ham
tum nahīñ ghar meñ to ye lagtā hai
kitne be-jān ho ga.e haiñ ham
'anjanā' tū hamārī soch meñ hai
aur tirā dhyān ho ga.e haiñ ham
dil ke mehman ho gae hain hum
kitne aasan ho gae hain hum
tu hamein apne sath chalne de
teri pahchan ho gae hain hum
prem ki hum pe ho gai kirpa
us ka wardan ho gae hain hum
koi kaise juda karega hamein
jism aur jaan ho gae hain hum
tu sharaddha hamari ban ke dikha
tera iman ho gae hain hum
tum nahin ghar mein to ye lagta hai
kitne be-jaan ho gae hain hum
'anjana' tu hamari soch mein hai
aur tera dhyan ho gae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.