dil ke qafas mein dard ko pala nahin gaya
dil ke qafas meñ dard ko paalā nahīñ gayā
she'roñ meñ saare zaḳhmoñ ko Dhālā nahīñ gayā
jo dekhte hī tum ko chalā aa.e dauḌ kar
palkoñ se phir vo ashk sañbhālā nahīñ gayā
buntī haiñ raat din jise yādoñ kī makḌiyāñ
maazī kī khiḌkiyoñ se vo jaalā nahīñ gayā
ristā thā ḳhuun zaḳhm se dekhā sabhī ne par
kāñTā kisī se baḌh ke nikālā nahīñ gayā
vaise to dil kabhī na ye dete kisī ko ham
isrār par tumhārā thā Taalā nahīñ gayā
dekhā jo dvaar aa.e sudāmā ke haal ko
phir kirshn ke bhī mukh meñ nivālā nahīñ hai
dil ke qafas mein dard ko pala nahin gaya
she'ron mein sare zaKHmon ko Dhaala nahin gaya
jo dekhte hi tum ko chala aae dauD kar
palkon se phir wo ashk sanbhaala nahin gaya
bunti hain raat din jise yaadon ki makDiyan
mazi ki khiDkiyon se wo jala nahin gaya
rista tha KHun zaKHm se dekha sabhi ne par
kanTa kisi se baDh ke nikala nahin gaya
waise to dil kabhi na ye dete kisi ko hum
israr par tumhaara tha Tala nahin gaya
dekha jo dwar aae sudama ke haal ko
phir kirshn ke bhi mukh mein niwala nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.