dil ke rishte ajib hote hain
dil ke rishte ajiib hote haiñ
duur rah kar qarīb hote haiñ
manzil-e-ishq hai muhāl bahut
har qadam par salīb hote haiñ
shām-e-furqat ke jāgne vaale
ġham ke maare ajiib hote haiñ
aap haiñ merī zindagī varna
aap kis ko nasīb hote haiñ
fāsle se milā karo sab se
dost bhī to raqīb hote haiñ
mehrbāñ jis ke haal par tum ho
bas vahī ḳhush-nasīb hote haiñ
rāh-e-ulfat meñ 'āshnā' aksar
hādse kuchh ajiib hote haiñ
dil ke rishte ajib hote hain
dur rah kar qarib hote hain
manzil-e-ishq hai muhaal bahut
har qadam par salib hote hain
sham-e-furqat ke jagne wale
gham ke mare ajib hote hain
aap hain meri zindagi warna
aap kis ko nasib hote hain
fasle se mila karo sab se
dost bhi to raqib hote hain
mehrban jis ke haal par tum ho
bas wahi KHush-nasib hote hain
rah-e-ulfat mein 'ashna' aksar
hadse kuchh ajib hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.