dil ke safhon mein jal lafzon ka
dil ke safhoñ meñ jaal lafzoñ kā
jaan par hai vabāl lafzoñ kā
kaise mahfūz hoñ usūl-e-hurūf
baḌh rahā hai zalāl lafzoñ kā
uljhe rahte haiñ sab ibārat meñ
hai ajab ye kamāl lafzoñ kā
harf to harf kaT ga.e nuqte
allah allah jalāl lafzoñ kā
ab qayāmat zabāñ pe aa.egī
ho rahā hai qitāl lafzoñ kā
hai kitāboñ meñ dīmakoñ kā hisār
aa gayā ab zavāl lafzoñ kā
biich rāhoñ meñ saut ke hamrāh
luT gayā saarā maal lafzoñ kā
tum to sheroñ meñ kho ga.e 'qudsī'
aur ham ko malāl lafzoñ kā
dil ke safhon mein jal lafzon ka
jaan par hai wabaal lafzon ka
kaise mahfuz hon usul-e-huruf
baDh raha hai zalal lafzon ka
uljhe rahte hain sab ibarat mein
hai ajab ye kamal lafzon ka
harf to harf kaT gae nuqte
allah allah jalal lafzon ka
ab qayamat zaban pe aaegi
ho raha hai qital lafzon ka
hai kitabon mein dimakon ka hisar
aa gaya ab zawal lafzon ka
bich rahon mein saut ke hamrah
luT gaya sara mal lafzon ka
tum to sheron mein kho gae 'qudsi'
aur hum ko malal lafzon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.