dil ke sahra mein yaadon ne raqs kiya hai rone de
dil ke sahrā meñ yādoñ ne raqs kiyā hai rone de
tū kyā dushman hai jo mujh ko rok rahā hai rone de
aag lagī ho gar to paanī se bujh jaanā lāzim hai
dil meñ achchhā-ḳhāsā ik armāñ jaltā hai rone de
jānāñ ab to ḳhush rahne kī koshish kar tadbīreñ DhūñD
maiñ to likhvā kar laayā huuñ ki ronā hai rone de
ye sab kahne kī bāteñ haiñ ki ronā kamzorī hai
ro kar dekh le ā-hā-hā kyā lutf aatā hai rone de
dil ke sahra mein yaadon ne raqs kiya hai rone de
tu kya dushman hai jo mujh ko rok raha hai rone de
aag lagi ho gar to pani se bujh jaana lazim hai
dil mein achchha-KHasa ek arman jalta hai rone de
jaanan ab to KHush rahne ki koshish kar tadbiren DhunD
main to likhwa kar laya hun ki rona hai rone de
ye sab kahne ki baaten hain ki rona kamzori hai
ro kar dekh le aa-ha-ha kya lutf aata hai rone de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.