dil ke sahra mein zamane se bhaTakte hue KHwab
dil ke sahrā meñ zamāne se bhaTakte hue ḳhvāb
ḳhushk āñkhoñ se Tapak aa.e jhijhakte hue ḳhvāb
shaam se pahle chalī aatī haiñ nīñdeñ ab to
jab se basne lage āñkhoñ meñ mahakte hue ḳhvāb
ġham meñ Duubī huī rātoñ ko ujālā dene
ham ne palkoñ pe sajā.e haiñ dahakte hue ḳhvāb
beḌiyāñ Daal ke jakḌā hai ḳhushī ne jab se
ġham kī dahlīz pe aa pahuñche sarakte hue ḳhvāb
zaḳhm 'afroz' chamak uThte haiñ jugnū kī tarah
dard jab dil kā bhaḌakte haiñ sisakte hue ḳhvāb
dil ke sahra mein zamane se bhaTakte hue KHwab
KHushk aankhon se Tapak aae jhijhakte hue KHwab
sham se pahle chali aati hain ninden ab to
jab se basne lage aankhon mein mahakte hue KHwab
gham mein Dubi hui raaton ko ujala dene
hum ne palkon pe sajae hain dahakte hue KHwab
beDiyan Dal ke jakDa hai KHushi ne jab se
gham ki dahliz pe aa pahunche sarakte hue KHwab
zaKHm 'afroz' chamak uThte hain jugnu ki tarah
dard jab dil ka bhaDakte hain sisakte hue KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.