dil ke soe hue zaKHmon ko jaga jati hai
dil ke so.e hue zaḳhmoñ ko jagā jaatī hai
yād-e-māzī kī havā jab bhī yahāñ aatī hai
haal ab ye hai ki marne ko haiñ āmāda ham
ishq kī raah ḳhatarnāk huī jaatī hai
ek laḌkā jo mohabbat meñ marā jaatā hai
ek laḌkī jo taras tak bhī nahīñ khātī hai
ham abhī ruuh hī hone ko chale haiñ tū to
jism se jaan nikal kar ke kahāñ jaatī hai
tab kahīñ jā ke zamāne kā bharam khultā hai
zindagī jiite jī jab laash banā jaatī hai
dil ke soe hue zaKHmon ko jaga jati hai
yaad-e-mazi ki hawa jab bhi yahan aati hai
haal ab ye hai ki marne ko hain aamada hum
ishq ki rah KHatarnak hui jati hai
ek laDka jo mohabbat mein mara jata hai
ek laDki jo taras tak bhi nahin khati hai
hum abhi ruh hi hone ko chale hain tu to
jism se jaan nikal kar ke kahan jati hai
tab kahin ja ke zamane ka bharam khulta hai
zindagi jite ji jab lash bana jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.