dil ke virane ko aabaad karun ya na karun
dil ke virane ko aabaad karun ya na karun
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
dil ke vīrāne ko ābād karūñ yā na karūñ
jaane vaale tujhe phir yaad karūñ yā na karūñ
haq to ye hai ki mujhe apne hī dil ne luuTā
kuchh tirā shikva-e-bedād karūñ yā na karūñ
aql vaale sabhī ilzām mujhī ko deñge
zaḳhm khā khā ke bhī fariyād karūñ yā na karūñ
sochtā huuñ maiñ agarche ye nahīñ hai mumkin
ḳhud ko har qaid se āzād karūñ yā na karūñ
ho na ho ahl-e-sitam ye bhī uḌā deñ kal ko
ik nayā shahr phir ābād karūñ yā na karūñ
zaat kā ġham bhī tirā ġham bhī jahāñ kā ġham bhī
aur ik ġham ko bhī ījād karūñ yā na karūñ
ek insān huuñ aur us pe masā.ib lākhoñ
mere allāh tujhe yaad karūñ yā na karūñ
dil ke virane ko aabaad karun ya na karun
jaane wale tujhe phir yaad karun ya na karun
haq to ye hai ki mujhe apne hi dil ne luTa
kuchh tera shikwa-e-bedad karun ya na karun
aql wale sabhi ilzam mujhi ko denge
zaKHm kha kha ke bhi fariyaad karun ya na karun
sochta hun main agarche ye nahin hai mumkin
KHud ko har qaid se aazad karun ya na karun
ho na ho ahl-e-sitam ye bhi uDa den kal ko
ek naya shahr phir aabaad karun ya na karun
zat ka gham bhi tera gham bhi jahan ka gham bhi
aur ek gham ko bhi ijad karun ya na karun
ek insan hun aur us pe masaib lakhon
mere allah tujhe yaad karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.