dil ke virane ko gulzar banane ke liye
dil ke vīrāne ko gulzār banāne ke liye
aaj kā din hai faqat piine pilāne ke liye
phuul ashkoñ ke maiñ palkoñ pe sajā laayā huuñ
ai mohabbat ke ḳhudā tujh ko manāne ke liye
laakh DhūñDā kisī gulshan meñ na paayā maiñ ne
ek bhī phuul tirī sej sajāne ke liye
aap chilman se nikalne ke liye haañ to kaheñ
log tayyār haiñ siine se lagāne ke liye
dil mirā toḌne vāloñ se ye kah do 'dilkash'
zindagī chāhiye is ghar ko banāne ke liye
dil ke virane ko gulzar banane ke liye
aaj ka din hai faqat pine pilane ke liye
phul ashkon ke main palkon pe saja laya hun
ai mohabbat ke KHuda tujh ko manane ke liye
lakh DhunDa kisi gulshan mein na paya main ne
ek bhi phul teri sej sajaane ke liye
aap chilman se nikalne ke liye han to kahen
log tayyar hain sine se lagane ke liye
dil mera toDne walon se ye kah do 'dilkash'
zindagi chahiye is ghar ko banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.