dil ke virane mein ek phul khila rahta hai
dil ke vīrāne meñ ik phuul khilā rahtā hai
koī mausam ho mirā zaḳhm harā rahtā hai
shab ko hogā ufuq-e-jāñ se tirā husn tulūa
ye vo ḳhurshīd hai jo din ko chhupā rahtā hai
yahī dīvār-e-judā.ī hai zamāne vaalo
har ghaḌī koī muqābil meñ khaḌā rahtā hai
kitnā chup-chāp hī guzre koī mere dil se
muddatoñ sabt nishān-e-kaf-e-pā rahtā hai
saare dar band hue shahr meñ dīvāne par
ek ḳhvāboñ kā darīcha hī khulā rahtā hai
dil ke virane mein ek phul khila rahta hai
koi mausam ho mera zaKHm hara rahta hai
shab ko hoga ufuq-e-jaan se tera husn tulua
ye wo KHurshid hai jo din ko chhupa rahta hai
yahi diwar-e-judai hai zamane walo
har ghaDi koi muqabil mein khaDa rahta hai
kitna chup-chap hi guzre koi mere dil se
muddaton sabt nishan-e-kaf-e-pa rahta hai
sare dar band hue shahr mein diwane par
ek KHwabon ka daricha hi khula rahta hai
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 376)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.